Sunnat ki zarurat vo ahmiyat





Mere pyare aakah ﷺ ke pyare diwano ! Ye baat kataye aur yakini hai . Ke Huzoor ﷺ ke akval vo aamal layake atebah hai . Kyun ke aap ne Jo kuch be kaha khakhdane githe par basne wale insano ke liye is mufadh hai . Aapﷺ ne Jo kaha sari kaynat ke liye wahi Sacha rasta aur sirate mustakim hai . Aap ke akval ki ahmiyat Quran paak ki mukadas is aayat me ishara hai.



Translate : aur vo koi baat aapne khvahish se nahi karte, wo to nahi magar wahi Jo inhe ki jate hai . Aap ke akhlak karima ke bare bare me Qurane mukadas me irshadh farmata hai.



Translate : Beshaq tumhe Rasool Allah ki peervi bahtar hai .


Ye ayate karima samne rakhte hue azrat ayesha sideka رضی اللہ تعالی عنہ ke bayan kirdah is hadish par goorah kare .


Translate: Huzoor ﷺ ke akhlak karima sarafaye Qurane mukadas ke translation the .


Ab natizah ye niklega ke Sarkar ﷺ ke akval, ammal, akhlak, vo kirdar sab Quane mukadas ki Ayat ki tarzumani karta hai . Yahi wajha hai ke Allah ﷻ ne Qurane mukadas me jagha jagha Rasool ﷺ ki pervhi karne ki takidh farmai hai .


 Sunnat ke meaning aur sunnat ki zarurat vo ahmiyat


Sunnat ke meaning tarikah aur addat hai. Aur Huzoor ﷺ ki hadish be hai .

Sunnate Rasool par ammal pairah hona yakinan ek momin ke liye bohut ahmiyat Ka hamil hai. Is liye ke Jo jis se mohabbat karta hai . Vo is ke har call se mohabbat karta hai. Aagar hum Huzoor ﷺ se mohabbat Ka dawah karte hai to hum in ke sunnate aapnaye ge aur hamare amlih Zindagi un ke sunnato ke sanche me dhale hue hogi.


Mohabbat ki alamat


Allah ﷻ Qurane mukadas me irshadh farmata hai :



Translate : aye mahboob ! Tum farmao ke aye logo ! Aagar tum Allah ko dost rakhte ho to mere farma bardar ho jao , Allah tumhe dost rakhe ga aur tumhare gunha baksh de ga.


Mere pyare aakah ﷺ ke pyare diwano! Is Ayat me Allah ﷻ ne saaf alfaz me farma diya hai ke aagar koi Allah se mohabbat Ka dawah kare to isse dalilah me Rasool ﷺ ki attayat Karni hogi. Jab tak Huzoor ﷺ ki addahe aur aap ki sunnate aapna na le Jaye is waqt tak Allah se mohabbat Ka dawah karne walah aapne dawhe me jhutah kahlaye ga.