Allah ﷻ Quran paak me irsad farmata hai .
Hazrat Umar bin khattab رضی اللہ تعالی عنہ se riwayat hai ke ek din hum Rasool ﷺ ki khidmat me hazir the , achanak ek saksh hamare samne aaya jis ke kapdhe nihayat saaf or Baal kale siha the, na is par Safar ki koi alamat dekhai deti the our na hum me se koi ise janta tha .
Akhir wo Nabi Karim ﷺ ke paas beth gaya our is ne aapne guthne Huzoor ﷺ ke ghutno se mila de . Our aapne haat Huzoor ﷺ ke rano per Rakh de . Phir Kahne Laga :
Aye Mohammad ﷺ mujhe Islam ke bare me bataye . Nabi Karim ﷺ ne farmaya : Islam ye hai . Ke tu gawahi de ke Allah ﷻ ke siwa koi mahbudh nahi our Mohammad ﷺAllah ke Rasool hai. Our tu namaz parhe , zakwat de , ramzan ke roze rakhe our Kaba tullah Ka haj kare aagar tu is ke raste Ki istehat rakhta ho .
Is ne kaha : aap ne sach farmaya ! Phir is ne kaha : mujhe imaan ke bare me bataye? Rahmate aalam ﷺ ne farmaya . ( Imaan ye hai ke ) Allah ke farishto, is ke Kitano, is ke Rasoolo our akhirat ke din our bhali , buri takdir ke tasdik kare .
Is saksh ne kaha : aapne sach farmaya. Phir is ne kaha " mujhe ahsaan ke bare me bataye? Huzoor ﷺ ne farmaya ( Ahsaan ye hai ke ) tu Allah talah ke ibadat kare is tarha kare ke goya tu ise dekh raha hai . Aagar tu ise dekh Nahi sakta to ( Kam as Kam itna khayal rakho ) ke wo tujhe dekh raha hai .
Mere pyare aka ﷺ ke pyare diwano ! Mazkura Bala hadise paak ke tshri Karte hue Hazrat sheikh Abdul hak mohadis dhelwi رحمتہ اللہ thrirah farmate hai " Islam, zahire Amal Ka Naam hai ( namaz parhna , Roza rakhna, zakat dena, wagirah ahem hai ) our imman Naam hai ( Allah ﷻ our is ke pyare Rasool ﷺ ko Dil se Manne Ka ) our Islam wo Imaan ke mazmuwe Ka Naam Deen hai".
Imaan our is ke tkaze :
Mere pyare aakah ﷺ ke pyare diwano ! Allah talah par imaan lane ke baad is ke tkaze ye hai ke bandah momen aapne mahbudh ke har har huqam ke farmabardari kare . Our is nayabe mutalik, Nabi ﷺ ki mohabbat me sarshar ho Kar aapne Ke lahe hue sariyat ke ahkamat Ka paband rahe take bandah razaye ilhai ke haqdar ho Jaye.
1 Comments
Mashallah
ReplyDeletePost a Comment