QHAYAMAT ANE KA HAL AUR USKI CHAND NISHANIYAN





Akhida: 

Ek din dunya aur uski har chiz fana ho jayegi.allah ï·»ke siva kuch bakhi na rahega, isi ko khayamat kahte hai, khayamat ane se pahle uski nishaniyan zahir hogi jinme se kuch iss tarha hain:


 Dunya se ilme din Ut jayega yani ulmaye haq utha liye jayenge.


Zahalat ki kasrat hogi.


Sharab aur zina ki kasrat hogi.


Mard apni aurat ke kahne me hoga aur maa-baap se juda rahega.


Gane Bajane Ki Kasrat Hogi.


Pahale Ke Logon Par Lanat Karenge, Unko Bura Kahenge.


Badkar Aur No Ahal log sardar banaye jayenge.


Deen Par khayim rahana itna kathin hoga jaise mutti me Angar lena.


Vakht me barkat na hogi yani vakht bahut bahut jald-jald guzrega.


Darinde, janvar, Aadmi se bat karenge.


Suraj pachim se nikalega aur is nishani ke zahir hote hi toba ka darvaza band ho jayega, uss vakht islam lana khubul na hoga.


 Ø§Ù„له اکبر ! In Alamat Ke Siva, Bada Dajjal Bhi Ayega Aur Uss Dajjal Ke Alava Tis Dajjal Aur Bhi Honge, Jo Sab Nabi Hone Ka Dava Karenge Halanki Nabuvat Ka Silsila Khatam Ho Chuka Haikhamare Nabi Sayyidna MOHAMMAD ï·º ke Bad khayamat tak koi nahi na hoga.in dajjalon me bahut se guzar chuke jaise muselmaye Kazzaba, Tuleha Bin Khuvailid, Sjh, Asvad Ansi, Mirza Ali Mohammad Baba , Mirza Ali Hussain Bahaullah, Mirza gulam Ahmad Khadiyani Vaghaira aur jo baki hain vo zarur zahir honge. (Nauzu Billahi Minhum.)