MAUTH KE MUTALLIK AKHIDA

 

Aakhida:  Mauth ka aana bhi haq hai, har shakhs ki umr mukharrar hai na usse ghat sakti hai aur na bad sakti hai.jaab jindagi ka vakht pura ho jata hai to hazrat izrayil (jo maut ke firishte hain) aate hain aur bande ki rooh ki rooh le jate hain.lekin rooh badan se nikal kar meet'ti nahi hai balki alame barzakh me rahti hai.imaan va amal ke yetbar se rooh ke liye alag-alag jagha mukharrar hai, khayamat aane tak vahi rahegi.


Bahrhal rooh meet'ti nahi hai aur jis hal me bhi ho apne badan se ek tarka ka lagav rakhti hai badan ki taklif se use bhi taklif hoti hai aur badan ke aram se rooh bhi aram pati hai, aur jo koi khabr par aaya use dekhti, pahchanti aur uski baat sunti hai.musalman ki nisbat se to hadis sharif me Aaya hai ki jab musalman mar jata hai to uski rah khol di jati hai, jahan chahe jaye.hazrat shaa abdul aziz mohaddise dehalvi rahamat ullah alai farmate hain ki "rooh ke liye koi jagah, door ya nazdik nahi balki sab barabar hai".





MURDE SE SAVAL VA JAVAB


Akhida: 

Munkar Nakir ye Do firishte hain, Jo murde se badi kadak Aavaz me sakhti se Jhidkat huve tin savalat kart hain:Mauth ke mutallik akhida, Mauth ka aana bhi haq hai, har shakhs ki umr mukharrar hai .Mauth ke mutallik akhida, Mauth ka aana bhi haq hai, har shakhs ki umr mukharrar hai 

 

  1.  Man Rabbuka: Tera Raab Kon Hai?
  2. Maa Dinuka: Tera Deen Kai Hai?
  3.  Maa Kunta Takhulu Fee Shani Haza Arrazuli: (Inke Bare me Tu Kai Kahta hai?)


Agar murda musalman mara hai to pahale saval ke javab me kahega "Rabbi Allahu" Mera Raab Allah hai aur Dusre Saval ke Javab me kahega 'Deenil Islam "Mera Deen Islam Hai Aur Tisre Saval Ke Javab me Kahega" Huva Rasoollilahi ï·º" Ye allahï·» ke rasool hai, allah tala ki taraf se in paar rahmat aur salam nazil ho.jab momin murda har saval ka javab sahi de dega to ab uske liye firishte hukme ilahi se jannat ka mukammal intizam karenge jisme voh khayamat tak rahe ga.


 agar rak kafir hai to savalat ke javabat na de translga aur kahega "Haa Haa La Adri" Yani Afsos.Afsos.Mujhe to kuch malum nahi. Ab firishte uske liye Azab dene par musallat honge aur khayamat tak use Azab diya jata rahega.


Akhida: Savab va azab murde ke badan aur rooh dono par hoga, murda agar dafan nahi kiya gaya balki jala diya gaya, ya kahi pada rah gaya, ya fenk diya gaya, gharje ki kahi ho usse vahi saval hoga yahan tak jisaya sher ke pet me usse saval hoga aur azab va savab bhi bahi hoga.


Akhida: Khabr me Aram ya Taklif ka hona haq hai, khabr ke Azab aur Savab ka munkir gurah hai.


Akhida: Ambiya kiram se khabr me savalat nahi hote balki BaAz ummatiyon se bhi khabr ke savalat na honge jaise Jumma aur ramzan me intikal karne vale musalman.


Akhida: Nabi, Wali, Alime Din, Shahid, Hafize Quran, Jo Quran Par Amal bhi karta ho aur voh banda jisne kabi gunah na kiya ho aur boh banda jo har bakht darood sharif padta ho, in tamam ke badan ko mitti nahi kha sakti.Jo shakhs ambiyaye kiram ko yah kahe ki "mar kar mitti me mila gaya" voh shakhs bedin, gumrah aur murtkibe tohin hain.