Allah ﷻ
Questions : hum ko aur sari makhluq kisnepaida farmaya ?
Answer : Allah tala ne paida farmaye
Question : hum ko rishq dene wala kon hai ?
Answer : Allah ﷻ
Question : barish barsane wala kon hai ?
Answer : Allah ﷻ hai
Question : is duniya ko paida karne wala kon hai ?
Answer : Allah ﷻ hai
Question : kya Kisi ko paida karne me Allah tala Ka koi sharik aur madatgaar hai ?
Answer : bilkul nahi !
Question : agar koi Allah ﷻ ko na mane to ?
Answer : agar koi Allah ﷻ ko na mane to vo kafir hai .
Question: Allah tala ke saat Kisi dusre ko khuda manna Kaisa hai ?
Answer : seerkh hai.
Question : agar koi Allah tala Ka wada jhuta hone Ka akidah rakhe to is par kya hukam hai ?
Answer : agar koi Allah tala Ka wada jhuta hone Ka akidah rakhe to wo kafir hai .
Question : Allah tala ki Zaat ke bare me hame kaisa akida rakhna chaye ?
Answer : Allah tala ki Zaat ke bare me hame ye akidah rakha chaye ke
Allah tala Ka koi sharik nahi vo akela hai.
Is ke jaisa koi dusra Nahi
Allah tala ne aapne qudrat se sari chizo ko paida farmaya
Allah tala ko Kisi ne paida nahi Kiya
Allah tala hamesha se hai aur hamesha rahe ga
Duniya aur duniya ki sari chize Allah tala ki kabzaye qudrat me hai
Sari makhluq isse ke mohtaj hai aur vo Kisi ka mohtaz nahi
Wahi makhluq ko rishq deta hai
Na vo sota hai na khata hai na pita hai
Allah tala Ka ilam zati aur laa mahdud hai
Wo gaib ki baat janta hai, is ke bataye bagir koi gaib ki baat Jaan nahi sakta albtta vo aapne khas bandho par gaib ki baate zahir farmata hai.
Allah tala hi ibadat ke layak hai, us ke siwa koi ibadat ke layak nahi
Allah tala jism aur jismaniyat se paak hai Yani na vo jism hai aur na us me vo baate paye jati hai Jo jism ke taluk se rakhti hai,
Jhut, zhulam , jahalat, bhulna, aur be hayaye vagirah tamam burai Allah tala ke liye muhal hai .
Allah tala Apne bandho par bohut mahrban hai
Allah tala Ki safayat :
Sab se pahle ek akil vo balig musalman par wajib hai ke vo is baat Ka ilam hasil kare ke kon si baate Allah ke haq me wajib hai aur kon se baate Allah ﷻke haq me muhal hai .
Walden aur sirparast par wajib hai ke baccho ke samjhdar hone ke bad aur balig hone se pahle ye safat baccho ko sikha de.
Allah tala Ke haq me Jo baate wajib hai wo ye hai :
Wajud
Kadim Yani hamesha se Hona
Baka Yani hamesha rahne wala
Aapne wajud me Kisi Ka mohtaz na Hona
Zaat vo safat me is Ka koi sharik na hona
Qudrat
Ilam
Zindagi
Sunna
Dekhna
Kalam Karna
Sahabe qudrat hona
Sahabe irada hona
Alim hona
Zinda hona
Sunne wala hona
Dekhne wala hona
Kalam Karne wala hona
Question : Allah tala ko uppar wala kahna kaisa hai ?
Answer : Allah tala Ko uppar wala kahna mnna hai.
Question : Allah tala ko Allah miya kahna kaisa hai?
Answer : Allah tala ko Allah miya kahna mnna hai
Question : Allah tala Ke ilam ke ilavah Kisi aur makhluq Ka ilam zaati hai agar aisa akida rakhe to kya hukam hai.
Answer : sirf Allah tala Ka ilam zati hai ' Allah tala Ke ilam ke siwa Kisi makhluq Ka ilam zati nahi ' kisi makhluq ke ilam ko zaati samjhna sirkh hai.
Post a Comment
Post a Comment