Achi guftagu Ka hukam Quran me
Sab se pahle aap Quran ki roshni me andaze guftagu ke bare me padhe , take aapne galtiyo ko durusth Kar sake aur aadabe guftagu bajah lane ki bhar pur koshish Kar ke kaamyabi hasil Kar sake . Quran mukadas me Allah ﷻ irshad farmate hai:
Translate : logo se Achi baat kaho .
Ek muhkam par irshade bari hai .
Translate : aye imman walo ! Allah ﷻ se daro aur sidhe baat kaho tumhare ammal tumhare liye sawar dega aur tumhare gunha baksh de ga. Aur Jo Allah aur is ke Rasool ﷺki farma bardar kare us ne badhi kaamyabi paye .
صدرالا فاضل علامہ سید نعیم الدین مراد آبادی علیہ الرحمہ فرماتے ہیں
Yani sachi aur haq vo insaaf ki baat aur aapne zaban aur kalam ki hifazat rakho ye balai ki asal ( zrah ) hai aisa Karo ge to Allah tala tum par karam farmaye ga .
Ye ayate karima khudbah Nikha ke andar bhe padhi jati hai shayad hi duniya me koi Nikha padhane wala Nikha padhate waqt khudbe me ye ayate na padhi ho . Aaj jitne be masahil khade hote hai , jitne duriya badhti hai , jitne iktelaf janam lete hai , jitne bad gumaniya paidah hoti hia ,balke jitne be jaghre fasad hote hain. In sab me zaban Ka roll hota hai . Agar zaban sidhe aur sachi hai to mamulaat durust hote hain . Aur agr zaban thedhi hai aur baat ghumma firah Kar ki jaa rahi hai to is ke wajhe se Insan ke bahami talukat vo mamulat bigadh jate hai .
Allah ﷻ ne Achi guftagu ke anzam bata diye hai . Allah tumhare ammal ko sawar dega. Tumhare kaam ko bana dega . Idhar tum sach bolo udhar molah tumhare kaam ko bana dega, pata Chala ke hamare kaam is liye nahi bante ke hamari zaban tedhi hai .lehaza aapne zaban ko sidhe Karo . Zaban ko sachi Kar lo , agar tumne sachi baat ki to yahi nahi ke tumhare kaam sawar deye jaye ge , balke Allah ﷻ tumhare gunhao ko be maaf farma dega. Aur kaamyab aata farmaye ga. Jis ne Allah aur us ke Rasool ﷺ ki attayat Kar li, Allah ﷻ use badhi kaamyabi aata farmaye ga.
Post a Comment
Post a Comment