Ambiya Alaihis Salam Va Malayika Ke Mutallik Akhida
Rasool:
Rasool ke maAna hai khuda E Tala ke yahan se bandon ke paas khuda E Tala ka Paigham lane vala.
Nabi:
Voh Admi hai jis ke paas vahi yani Khuda E Tala ka paigham Aaya, Logon ko khudaye tala ka rasta batane ke liye.
Akhida:
kayi nabi aur kayi fariste rasool hain, sab nabi mard hi the, na koi jin nabi huva na koi aurat nabi huyi.
Akhida:
Nabi aur Rasool mahaz allah ï·» ki maherbani se hote hain, isme admi ki koshish nahi chalti, albatta allah tala nabi ya rasool usi ko banata hai jisko voh iss layik paida farmata hai.
Akhida:
Jo nabi ya rasool hote hain voh pahle se hi tamam burayiyon se door rahte hain, unme yesi koi bat nahi hoti jiski vaza se log unse nafrat karen.
Akhida:
Sab nabi aur tamam farishte masum hote hain yani unse koi gunah ho hi nahi sakta.
Akhida:
Allah tala ka paigham bandon tak pahunchane me unse koi bhul, chuk nahi ho sakti, unse bhul, chuk muhal hai.
Akhida:
Nabi aur farishte ke alava kisi imam aur vali ko masum manna gumrahi aur bad mazhabi hai, Agarche imam aur valiyon se bhi gunah nahi hota.lekin kabhi gunah ho jaye to SharAn muhal bhi nahi.
Akhida:
Allah ï·» ki tamam makhluk me nabi sabse afzal hote hain.
Akhida:
Vali kitne hi bade rutbe vala kuin na ho kisi nabi ke barabar nahi ho sakta, jo koi kisi bhi bande ko kisi nahi se afzal, ya barabar bataye voh gumrah, bad mazhab hai.
Akhida:
Nabi ki tazim farze Ayin Balki tamam farayiz ki asl hai, kisi nabi ki adna si tohin kufr hai.
Akhida:
Tamam Ambiya Alaihis salam Apni-Apni Khabron me dunyavi zindagi ki tarha aaj bhi jinda hain, Allah tala ka vada hai "Kullu Nafsin Zayikhatul Maut" ke pura hone ke khatir ek lamha ke liye unhen maut ayi, fir allah ne apila khratehen zinda farma diya.unki jindagi shahidon ki zindagi se bahut badkar hai.
Akhida:
Allah Tala ne apne nabiyon ko ghaib ki baten batayi, nabiyon ko yeh ilme ghaib allah tala ke diye se hai.Nabiyon ka ilme ghaib Atayi hai aur Allah Tala Ka ilme ghaib chunki kisi ka diya huva nahi hai balki use khhaza hail bha zati hai, isi liye Ambiyaye kiram ke liye ilme ghaib manna shirk nahi balki imaan hai, jaisa ki bahut si ayaton aur ahadis se sabit hai.
Akhida:
Allah Rabbul Izzat ne Hamare pyare Aaka ï·º ko tamam kaynat se pahle apne noor ki tajalli se paida farmaya.Ambiya, firishte, jamin va asman, arsh va kursi, tamam zahan ko Huzur farmaya.allah tala ne apni zaat ke bad har khubi aur kamal ka jameA hamare pyare nabi Sallallahu Alaihi O Sallam ko banaya.usne apne tamam khazano ki kunjiyan Huzur ï·º ko ata farma di.dei vam dam ne vala kun khuda hai aur bantne vale Huzur ï·º hain.
Akhida:
Allah Tabarak va Tala ne Huzur ï·º ko bedari ki halat me Meraj Ata farmayi, yani arsh par bulaya aur apna didar Ankho se karaya, apna kalam sunaya, jannat, dozakh, arsh, kursi vaghaira tamam chizon ki sair karayi. din aap hi sabse pahale ummat ki shafaAt farmayenge, bandon ke gunah maaf karayenge, darje buland karayenge, inke Alava aur bahut si khususiyaten hain jinki tafsil ulmaye yehle sunnat ki kitabon me mulahaza ho.
Akhida:
Allah ï·» ne pane bandon ko hidayat ke liye apne nabiyon par mukhtalif kitabon aur sahife nazil farmayi. in nabiyon ki ummaton ne in kitabon ko ghata ya bada diya aur allah tala ke ahkam ko badal dala tab allah tabarak va tala ne hamare pyare aaka sallallahu Alaihi O Sallam par QURAN paak nazil farmaya, qurane paak me har chiz ka ilrane hai.pa ibtidaye islam se aaj tak vaisa hi hai jaisa nazil huva tha aur hamesha vaisa hi rahega.iss qurane paak par imaan lana har shaks par lazim hai.Aab na koi nabi ane vale hain, aur na koi kitab ane vali hai, jo iske khaf rakhe voh momin nahi.
Akhida:
Firishte Allah ï·» ki noori Makhlooq hain.Allah Tala ne unhen ye takat di hai ki jo chahe ban jayen.firishte allah tala ke hukum ke khilaf kuch nahi karte, na jaan-booj kar na bhul kar iss liye ki firishte masoom hote Hain. Allah ï·» ne bahut se kaam firishton ke supurd farmaya hai, koi firishta jaan nikalne par, koi pani barsane par, koi maa ke pet me bachche ki surat banane par aur koi bandon ke namaye amal likhne par mukarrar hain, vaghaira.
Akhida:
firishte na mard hain na aurat, blki voh noori jism ki makhlooq hain.firishton ka inkar karna, unse galti hone ka imkan manna bhi gumrahi hai aur yesa shaks momin nahi.
Post a Comment
Post a Comment