Allah Ki Zaat Va Sifat ke Mutallik Akhayid


Akhida Allah ﷻ ek hai, paak aur bemisal, be Ayib hai, Har kalam va khubi ka jameA hai.voh hamesha se hai aur hamesha rahega.uske siva jo kuch hai, pahle na tha jab usne paida kiya to huva.voh kisi baat me kisi kaat mohtaj nahi aur sab usi ke mohtaj hai.voh sabka malik hai jo chahe kare.bagair uske chahe zarrah hil nahi sakta.sab uske bande hain, voh apne bandon par maa, baap se zaida meharban, raham farmane vala, gunah to bakhshne vala khubul farmane vala hai, izzat va zillat sab usi ke kabze me hai.

Akhida : Hidayat voh gumrahi ise ke janib se hai, jise chahe Hidayat de aur jise chahe gumrah karde, is ke har kaam, hikmat our insaaf hai. Bande ke samajh me aaye ya na aaye. Bandho pe is ke ahsanaat be inteha hai 

Akhida: vahi Allah ﷻ iss layik hai ki sirf usi ki ibadat ki jaye, uske siva dusra koi bhi ibadat ke layik nahi.



Akhida:  Hakhikhi badsha allah tala hi hai aur vahi alim va hakim hai.koi chiz allah ﷻ ke ilm se bahar nahi, dilon ke khatron aur vasvason ki bhi khabar rakhta hai, uske ilm ki koi intiha nahi.

Akhida:  Allah rabul Izzat Jo chahe, jaisa chahe kare.kisi ka uss par koi dabav nahi aur na koi uske irade se usko rokne vala hai, bandon ke achche kaam se khush hota hai aur bure kaam se naraz hota hai,

Akhida:  Hakhikhatan rozi pahunchane vala, Aulad Ata farmane vala niz har zarurat puri karne vala vahi hai, farishte vagaira wasila aur rabta hain.

Akhida: Khuda e Tala ke liye har Yeb na mumkin balki muhal hai.jaise jhut, jahalat, bhul, zulm vagaira tamam burayiyan khuda ke liye muhal hai aur jo yah mane ki khuda jhut bol sakta hai, lekin bolta nahi, yesa akhida rahnekh goya voh man raha hai ki khuda yebi to hai lekin apna yeb (jhut) chupaye huva hai. (Mazallah.)